Dil Ye Bekarar Kyun Hai lyrics - Mohit Chauhan, Shreya Ghoshal

Song Title: Dil Ye Bekarar Kyun Hai
Music Director: Pritam Chakraborty
Lyricist: Ashish Pandit
Singer(s): Mohit Chauhan, Shreya Ghoshal

Dil Ye Bekarar Kyun Hai lyrics

Yeah Yeah

Kyun raaton ko main
Ab chayn se so
Na sakoon oo
Kyun aata nahin
Mujhe din mein bhi
Chain o sukoon
Oo kyun aisa hota hai
Main khud se hi
Baatein karoon
Oo kyun tu jo bole
Koi sune na woh
Main hi sunu
Dil ye bekarar kyun hai
Iss pe dhun
Sawaar kyun hai
Kyun hai ye khumaar
Kyun hai tu bata


Tera intezar kyun hai
Tujhpe aitbaar kyun hai
Kyun hai ye khumar
Kyun hai tu bata
Tu bata tu bata


Kyun tujhe dekhe bina
Aata nahin dil ko sabar
Oo kyun tere chehre se
Hatt ti nahin yeh nazar
Oo kyun tujhe paake
Mujhe rehta hai khone ka darr
Oo kyun tere siva saari
Duniya se hoon main bekhabar

Dil ye bekarar kyun hai
Iss pe dhun sawaar kyun hai
Kyun hai ye khumaar
Kyun hai tu bata
Tera intezar kyun hai
Tujhpe aitbaar kyun hai
Kyun hai ye khumar
Kyun hai tu bata
Tu bata tu bata


Ye pyaar hai jo
Tujhe ho gaya hai
Naa jaane kyun tu
Iss se tha bekhabar
Jo aaj kal yeh
Tujhe ho raha hai
Nahin aur kuch
Pyaar ka hai asar


Kyun tere jalwo ka
Chatt ta nahin hai dhuaan
Oo kyun chale hawa toh
Lage ki jaise tune chhuaa
Oo kyun maangta hai
Dil tere liye roz duaa
Oo kyun ho raha
Jo pehle mujhe naa hua


Dil ye bekarar kyun hai
Iss pe dhun sawaar kyun hai
Kyun hai ye khumaar
Kyun hai tu bata
Tera intezar kyun hai
Tujhpe aitbaar kyun hai
Kyun hai ye khumar
Kyun hai tu bata
Tu bata tu bata.

Dil Ye Bekarar Kyun Hai VIDEO



Comentarios

Entradas populares de este blog

What's Punjab Lyrics - Gurtaj

Nira Ishq Lyrics – GURI

Apsraa Lyrics - Jaani & Asees Kaur