Banjaara LYRICS - Hansika Pareek

Song: Banjaara

Singer: Hansika Pareek

Music: Anugrah Mark


Lyrics


Jise zindagi dhoondh rahi hai 

Kya ye woh makaam mera hai 

Yahaan chain se bas ruk jaaun 

Kyun dil ye mujhe kehta hai 

Jazbaat naye se mile hain 

Jaane kya asar ye huaa hai 

Ik aas mili phir mujhko 

Jo qubool kisi ne kiya hai


Haan...

Kisi shaayar ki ghazal 

Jo de rooh ko sukoon ke pal 

Koi mujhko yun mila hai 

Jaise banjaare ko ghar 

Naye mausam ki sehar 

Yaa sard mein dopahar 

Koi mujhko yun mila hai 

Jaise banjare ko ghar 

Hmm...


Jaise koi kinaara

Deta ho sahaara 

Mujhe wo mila kisi mod par 

Koi raat ka taara

Karta ho ujaala

Waise hi roshan kare woh shehar


Dard mere woh bhula hi gayaa

Kuch aisa asar huaa

Jeena mujhe phir se woh sikha raha


Hmm.. Jaise baarish kar de tar

Yaa marham dard par

Koi mujhko yun mila hai

Jaise banjare ko ghar

Naye mausam ki sehar

Yaa sard mein dopahar

Koi mujhko yun mila hai

Jaise banjaare ko ghar


Muskaata yeh chehra

Deta hai jo pehraa

Jaane chhupata kya dil ka samandar Auron ko toh har dum saaya deta hai

Woh dhoop mein hai khada khud magar


Chot lagi hai usey,

Phir kyun mehsoos mujhe ho raha hai Dil tu bata de kya hai iraada tera


Main parinda besabar

Tha uda jo darbadar

Koi mujhko yun mila hai

Jaise banjarey ko ghar Naye mausam ki sehar Yaa sard mein dopahar


Main parinda besabar

Tha uda jo darbadar 

Koi mujhko yun mila hai

Jaise banjarey ko ghar 

Naye mausam ki sehar 

Yaa sard mein dopahar 

Koi mujhko yun mila hai 

Jaise banjarey ko ghar


Koi mujhko yun mila hai 

Jaise banjare ko ghar

Jaise banjare ko ghar..

Jaise banjare ko ghar...

Jaise banjare ko ghar....


Banjaara VIDEO - Hansika Pareek


Comentarios